Taxonomy: Adhure Qisse
Rubber ke gubbarein
"Papa... mujhe ye pilaa wala gubaara dila do na.. sirf ek.. please please please... dila do na!!!
mai aapko bilkul tang nahi karunga... bahar jakar khelunga is'se..." Sarthak ne apne papa se kaha...
us market mai ghumte unhe kuch aadha ghanta ho gaya tha aur is aadhe ghante mein sarthak kitni hi baar apne papa se gubaara dila dene ka aagreh kar chuka tha... lekin har baar use ek hi jawab milta...
"kya karega gubaara lekar... thori deir mai fat jayega ye.. aisi chiz bhi kya leni jo thori deir mai kharab hi ho jaane wali ho"
Sarthak har tarike se papa ko ye samjhane ki koshish karta raha ki usko har ek khilone se jayda pyaara is waqt ye gubaara hai aur use ye gubaara hi chahiye chahe vo lete hi fat jaaye... lekin uski ye saari koshishe nakaam hi rahi
sarthak ke papa uske vo gubaara dila bhi dete... lekin mahine bhar ka rashan hi jab dukandar se badi mushkil se udhar mila ho tab gubaar ke paise vo laate bhi to kahan se...
aakhirkar mahine bhar ka raashan bandhva kar papa ne cycle ke piche ladvaya... sarthak ko aage bithaya aur paidal marte hue apni colony ki taraf badhne lage... lekin sarthak abhi bhi apni gardan piche ki taraf karke us pile gubaare ko ek tak dekh raha tha...
college ki cutoff list sarthak ke liye khushion ka sabab saabit hui... uska dhakila shehar ke naami giraami college mai ho gaya tha... college mai admission ho jaane ke is mauke par papa ne use 3 hazar rupee diye mobile phone lene ke liye... is baat ne sarthak ki khushi dau guni kar di... vo bhaga bhaga mobile ki dukaan par pahucha aur tarah tarah ke mobile dekhne laga... dukaandaar ne teen hazar tak aane wale kayi tarah ke mobile use dhika diye... vo un mobilon ko abhi nihar hi raha tha k tabhi piche se aawaz aayi
"bhaiya... vo jo naya vala samsung ka phone aaya hai.. vo hai aapke pass" ek ladki jo abhi abhi dukan mai dhakil hui thi vo ye puch rahi thi
"kaunsa s5, han hai... 40 hazaar ka hai" dukan dar ne jawab diya
"han ek de do.." us ladki ne vo phone liya aur vahan se chali gayi.. lekin vahan khada sarthak us phone ki qeemat sunkar hairaan reh gaya... usne dukandaar ko us phone ki khubiyaan us ladki ko batate hue bhi suna tha...
thori deir mai usne apne liye ek phone pasand kiya aur vahan se chala gaya.. lekin aaj bhi baazar se jaate samay vo piche mud mud ke us dukan ki taraf dekh raha tha thik usi tarah jaise bachpan mai ek din vo papa ke haath ke niche se jhank kar gubaaro ko dekha karta tha...
Sarthak ko aaj bhi gubaare bahut pasand the.. lekin han vo bachpan vale rubber ke gubaare nahi!!!
Manoj Garg