Taxonomy: Baaki Sab kuch
Raasta
Maine tumse yun kaha tha tum faqat meri suno
Baat vo beekar ki thi tum ise ab mat suno
Tumne yun uth ke chale jaane ko hi samjha sahi
Tumne piche mudh k dekha? ya mujhe dekha nahi
Raaste ko taakta mai phir vahin baitha raha
Kosta apni anaa ko khud ko mai sehta raha
Maine dekha tab khudi ko mai bahut bekaar hun
Kat dun mai pyaar ko bhi aisa ek hatiyaar hun
Lekin tumhaari bebaasi se maine sauda yun kiya
Usko apni dhar de maine ravaana kar diya
Aaj apni is aana ki kabr maine khod di
apni anna ab choR di maine anaa ab choR di
Aaj mere aansoun ne phir tujhe shweta chuna
Zindagi ko be-anna karne ka phir rasta chuna
Tuhi to meri khudi hai... chain mera, neend tu
Tu agar mujhse khafa phir saans bhi na le sakun
Manoj Garg