Taxonomy: Adhure Qisse
naraazgii
Vo ro bhi sakta tha... apni junjhalahat aur tilmilahat se pareshan hokar dusro par barasna to jaise khub aata tha use...
par vo janta tha ki haar kar tut jaana aur tut kar rona is baar uska vikalp nhi tha.... use uth kar khada hona hi tha... sidha khada hona tha... usne apne aas pass dekha to kisi ko na pa kar hairaan bhi hua... kuch logo ko bahut apna manta tha vo... par vo sab bhi uski baato ko samajh nhi pa rhe the...
usne aakhir kar sab chor dia... vo ladtaa bhi to kis'se... Ek hi saans to thi Jo use dekh kar chalti thi... aur vo bhi kab tak...
Aaj bahut din baad dikha... to log usse bus yehi puchte rahe ki uske chehre par saji rehne wali vo hasi aur vo urza kya hui...
mujhe shayad bata gaya vo... Vo apne aap se naraz tha... bus aur kuch nhi
Manoj Garg