Taxonomy: Gazhalein
Mujhe maalum the nuske safar ke
Mujhe maalum the nuske safar ke
Mai fir bhi laut aaya aah bhar ke
Jo paun darsh tere naama-bar ke
To ghar aabaad ho sab dil-nagar ke
Dawaa se kab mujhe aaram hoga
Mire sab gham atta hain chaaragar ke
Adaa jo hai qayamat... saadgi hai
Lubhate ho mujhe kya ban-sanwar ke
Bigaad jaane pe ye ehsaas hoga
K ab tak kho rahe the kya sudhar ke
Jo guzre Aadmiyat pe musalsal
Vo saare haadse the "gar" "magar" ke
Bahut aasan ho jayega jeena
Kabhi dekho anna ko radh kar ke
'Jaun' saaye mai gaate muskurate
Mire jaise hi kitne tujh shajar ke
Khuda ki raah 'maanu' ishq ki hai
Nahi paayega tu kuch usse darr ke!!!
Manoj Garg