Taxonomy: Gazhalein
Lehro.n pe kashti behne do
Lehro.n pe kashti behne do
Kashti ko kinaare... kya karna
Lo saare sitaare tum rakhlo
Ab mere tumhaare... kya karna!!!
Tum jo mujhse kehti ho
"Kya haal rha mere piche"
Tum ye jaano bas saans liye
din kaise guzaare... kya karna!!!
Daur-e-vasl agar hai to
Kuch daur-e-vasl ka zauq bhi ho
chalkao naaf-pyaala tum
Ye hosh ke dhaare... kya karna!!!
husn-o-ishq ki sarmastii
Mai dubein... aao raqs karein
Kya rasm-o-rah-e-dahr humein
Dil-giir idaare... kya karna!!!
Chain agar padhta hai mujhe
Kandhe pe tere sir rakh kar
abr-o-baaraa.n chiz hain kya
Be-nurr nazaare... kya karna!!!
Gir aao meri baho.n mein
Ab duniya ki mat fikr karo
Kis aur se aake tanz kare
Kis aur sidhaare... kya karna!!!
Manoj Garg