Tags: Manoj Garg, Kache Sheir, Ghazal

Taxonomy: Gazhalein

Kuch nahiN rakha dharam mein

Naqsh-e-adaavat k siva
Saaman-e-aafat k siva

Kuch nahiN rakha dharam mein
ek nafrat k siva!!!

Hai gumaa.N
gar roop koi aur hai bhagwan ka

Usko kab mumkin tha hona
Kuch mahabbat k siva!!!

usne mujhko yun likha hai
"tum bhi kuch mujhko likho"

Sochta hun... kya likhun mai
Dil ki vahshat k siva!!!

Tum mein mai gir jaun ab
Aur mujhmein aake tum giro

Koi bhi harkat na ho is
Ek harkat k siva!!!

Hizr ke aagosh mai bhi
raahatein kuch kuch rahiN

Vasl ki shab kuch nahi par
haaye... aafat k siva!!!

Manoj Garg