Tags: Manoj Garg, Kache Sheir, Ghazal

Taxonomy: Gazhalein

Khuda ke saath hi mar jaana tha

Ishq kyun humko aajmaana tha
Gham se rishta humein nibhaana tha

Usne pucha na raaz-e-naaraazi
Humko rona tha bikhar jaana tha

hum aise saada-dil humko
Khuda ke saath hi mar jaana tha

Hum k takraye jaun se varna
Humko bhi roop gungaana tha

Ho jahan 'mannu' hamiyat zinda
Bas vahin par tera thikaana tha!!!

Manoj Garg