Choose script to read:

Dubta Tinka : Sarthak aur Nikita ki ek dum jhuti kahaani hindi

Kahaani koi bhi ho, uska koi matlab koi maani (maayine) nahi hote. Maani agar hote hain to sirf aur sirf kahaani padhne vaale ke, kahaani sunne vaale ke. 

Kahaani sirf, kahaani padhne vaale ko uske apne maani samjhaane ka zariya bhar hoti hai. Ye alag baat hai k aamuman is zariye ko hi maani samajh liya jaata hai jo k kahaani aur kahaani padhne vale dono k saath hi nainsaafi hai.

Thik isi tarah Sarthak aur Nikita ki is kahaani "Dubta Tinkaa" ke bhi koi maani nahi hai. Bahut jald ye kahaani sabhi book-shelves pe maujud hogi lekin isko padhne ki agar tum kabhi koi vajah talash karo to vo sirf tumhaare apne maani ki talash honi chahiye. 

Khair!!!

Sarthak ki Nikita ko likhi hue ek khat ka ek purza

Nikkita

Kaibaar friday ki shaam bahut bechani lekar aati hai... haal phihaal… mai har friday apne aap ko is bechani se gira pata hun... ye bechani jo mujhe weekend ko kosne pe majbur kar deti... ye bechani jo mujhe har bar ye ehsaas dilati hai ki mai kitna akela hun... kitna kamjor hun... ye bejani jo mujhe ye sochne pe majboor karti hai ki kaash… kaash tum aur mai ab bhi sach hote... is bechani se mujhe ye ehsaas bhi hota hai ki agar mera kaam mera saath na de to mai friday tak ke panch din bhi na nikal paun...

..................................................

jab tum mera ghar thi tab mai na jaane kaise anjaan rasto se bhi ghar pahuch jaata tha... lekin ab aisa nahi hai.. mujhe ghar jaana acha nahi lagta kyuki mai janta hun ab tum mera ghar nahi ho... mai abhi bhi apne dimag mai har samay koi na koi aisi paristhi banata rehta hun jismai tum phir se mera ghar ho jao... ye sochta rehta hun ki aise mai ghar vapis aakar mai tumse kya kahunga.. vo kaunse shabd honge jo tumhe firse apna dekh mere hontho se niklege.. par shayad agar aisa ho to mere hoonth tumhe chum lene ke alava kuch aur na kar payen...

Tumhara saara pyar samete
Sarthak