Tags: Adhure qisse, Manoj Garg

Taxonomy: Adhure Qisse

Corporate ki naukri

Corporate ki naukri bilkul arranged marriage ki tarah hoti hai. Shuruati daur mai jab aap HR se offer discuss karne jayenge to vo aap ko thik usi tarah apni company ki khubiya ginvayegi jaise aapke ho sakne wale saas sasur apne bete ya beti k baare mai aapko bata rhe hon. Aapke saamne ek aisa madhur chitr khicha jayega k aap apne aap ko rok na payenge aur pranay sutr mai bandhne ko machal uthenge...

kuch din badi mauj chalegi... lekin jaise jaise aap ko sachai ka aabhas hone lagega vaise vaise aapka moh bhang hota jayega... phir ek din achanak aapki sakhi aapko apni company ki khubiyon ka varnan degi to aapka mann apni company ko kosne aur uski company mai chale jaane to tadap uthega... thik usi tarah jis tarah uske romantic pati ki kahani sunkar ho uthta hai...

Lekin dhyan rahe, naukri aap badal sakte hai... aise badalne ko to pati badalna bhi kanunan apradh nahi hai!!!

Farz kijiye aap apni sakhi ka sunaya varnan sunkar bhi apni company mai bane rahe... tab... ek din achanak aapke banaye usi khane ki khub burai ki jayegi jiski pehle bahut taarif ki jaati rahi hai. Natiztan aapka appraisal kharab kar diya jayega... puchne par bataya jayega ki ye khana to aap roz banate hai... ismai nayapan layiye... kuch aur sochiye... ek hi kaam ek hi tarah se aakhir kab tak karte rahenge aap...

Aapne is constructive feedback ko sach mai constructive samajh kar abhi nayi qism ka khaana banana sikha hi hoga k aapko pata chalega k ab aapko khana banana hi nahi hai... uske liye ab aapki devraani (fresher) jo aa gayi hai... ab to aapko bacho ko subhah car se school pahuchana hoga... is khabar se khush hue aap abhi ye puchne ko hi honge ki driving ki training ka kya prabhand hai k aapko pata chalega ye aapko bina training khud hi sikhna hoga... aapse kaha jaayega ye itna mushkil bhi nahi hai... sabhi to kar lete hain... khaana banate itna samay nikaal chuke ho... car to tumhe drive karna aana hi chahiye... chahe ye kehne vale shaks ne aap kabhi scooter na chalaya ho lekin vo aapse ye is tarah kahega k aap car na chalana jaanne k liye khud ko dhikarne lagoge..thik apke saamne saamne hi aapki technology change kar di jayegi jiska aapko ehsaas bhi nhi hoga...

Isi tarah Roz b roz hone wali behas aur aapke kaam mai bina karan nikale gaye nuqs dhire dhire aapko apne boss mai saasu ma ki jhalak dekhne par majbur kar hi denge... aakhirkar ek din... gautam budh ki tarah aapke gyan chakshu khulenge... aur aap apne aap ko is moh maya se pare kar loge... uske baad aapke hoto pe sirf ek hi jawab sachega "ji mummy ji" jisse aap "yes sir" bhi padh sakte hain.



Manoj Garg