Taxonomy: Gazhalein
ab kidhar jaana kis qadar jaana
ab kidhar jaana kis qadar jaana
uski bahon mai girke mar jaana
dar o diivar ghar k chikte hain
tumko laazim hai ab sudhar jaana
main agar raaste mein padh jaun
mere upar se tum guzar jaana
tu sanam ab nahi jo ghar mera
mujhko bhata nahi hai ghar jaana
umr bhar baad mujhmai aaye ho
aakhri saans hai, thehar jaana
hai bura waqt thaam lo khudko
khushi ke waqt, tum bikhar jaana!!!
Manoj Garg